Friendship Shayari in Urdu and English

Friendship (Dosti) Shayari in Urdu and English Text: “Friendship Shayari” beautifully encapsulates the essence of companionship in poetic verses. These heart-touching shayaris express the depth of emotions, laughter, and support shared between friends. A poetic celebration of friendship, these verses evoke warmth and connection, making them a cherished expression of true camaraderie.

Friendship Shayari

tum takalluf ko bhi ikhlas

tum takalluf ko bhī iḳhlās samajhte ho 'farāz' 
dost hotā nahīñ har haath milāne vaalā 

تم تکلیف کو بھی اخلاص سمجھتے ہو 'فراز'
دوست ہوتا نہیں ہر ہاتھ ملانے والا

is se pahle ki bewafa ho jaayen

is se pahle ki bewafa ho jaayen
kyun na ai dost ham juda ho jaayen

اس سے پہلے کہ بے وفا ہو جائیں
کیوں نہ اے دوست ہم جدا ہو جائیں

ai dost ham ne tark-e-mohabbat

ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd 
mahsūs kī hai terī zarūrat kabhī kabhī 

اے دوست، ہم نے ترکِ محبت کے باوجود
محسوس کی ہے تیری ضرورت کبھی کبھی

vo koi dost tha achchhe dinon ka

vo koi dost tha achchhe dinon ka 
jo pichhli raat se yaad aa raha hai

وہ کوئی دوست تھا اچھے دنوں کا
جو پچھلی رات سے یاد آ رہا ہے

kaun rota hai kisi aur ki Khatir ai dost

kaun rotā hai kisī aur kī ḳhātir ai dost 
sab ko apnī hī kisī baat pe ronā aayā

کون روتا ہے کسی اور کی خاطر اے دوست
سب کو اپنی ہی کسی بات پہ رونا آیا

doston ki mehrbani chahiye

dil abhi puri tarah tuta nahin 
doston ki mehrbani chahiye 

دل ابھی پوری طرح ٹوٹا نہیں
دوستوں کی مہربانی چاہئے

dushmanon se pyaar hota jayega

dushmanon se pyaar hota jayega 
doston ko azmate jaiye

دشمنوں سے پیار ہوتا جائے گا
دوستوں کو آزماتے جائیے

ye kahan ki dosti hai

ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh 
koi charasaz hota koi ġham-guzar hota 

"یہ کہاں کی دوستی ہے کہ بنے ہیں دوست ناصح
کوئی چارساز ہوتا، کوئی غم گزار ہوتا"

sharten lagai jaati nahin dosti ke saath

sharten lagai jaati nahin dosti ke saath 
kiije mujhe qubul meri har kami ke saath 

شرطیں لگائی جاتی نہیں دوستی کے ساتھ
کیجئے مجھے قبول میری ہر کمی کے ساتھ

tu dost hai to nasihat na kar

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye 
tu dost hai to nasihat na kar ḳhuda ke liye 

میرا ضمیر بہت ہے مجھے سزا کے لئے 
تو دوست ہے تو نصیحت نہ کر، خُدا کے لئے

Share This