Rahat Indori Urdu Shayari with English Text

In this Rahat Indori’s poetry, he urges us to keep tears in our eyes and fire on our lips to stay alive amidst numerous challenges. He emphasizes that destinations are not more significant than the stones on the path; keep the journey alive by listening to its whispers. Friendship and camaraderie with life are as essential as two shores of a river. The poet advises to stay prepared for the proclamation of a journey at any moment. Lastly, he stresses the importance of maintaining the illusion in one’s eyes and keeping dreams regardless of circumstances.

Rahat Indori Urdu Shayari with English Text
Rahat Indori

Rahat Indori Urdu Shayari

آنکھ میں پانی رکھو ہونٹوں پہ چِنگاری رکھو
زندہ رہنا ہے تو ترکیبیں بہت ساری رکھو
Aankh mein paani rakhoo, honthon pe chingaari rakhoo
Zinda rehna hai toh tarkiiben bahut saari rakhoo

راہ کے پتھر سے بڑھ کر کچھ نہیں ہیں منزلیں
راستے آواز دیتے ہیں سفر جاری رکھو
Raah ke patthar se badhkar kuchh nahi hain manzilein
Raaste aawaaz dete hain safar jaari rakhoo

ایک ہی ندی کے ہیں یہ دو کنارے دوستو
دوستانہ زندگی سے موت سے یاری رکھو
Ek hi nadi ke hain ye do kinaare dosto
Dostaana zindagi se maut se yaari rakhoo


آتے جاتے پل یہ کہتے ہیں ہمارے کان میں
کوچ کا اعلان ہونے کو ہے تیاری رکھو
Aate jaate pal ye kehte hain humare kaan mein
Kooch ka elaan hone ko hai tayyari rakhoo

یہ ضروری ہے کہ آنکھوں کا بھرم قائم رہے
نیند رکھو یا نہ رکھو خواب میاری رکھو
Ye zaroori hai ke aankhon ka bharam qaaem rahe
Neend rakhoo ya na rakhoo khwaab miyaari rakhoo

یہ ہوائیں اڑ نہ جائیں لے کے کاغذ کا بدن
دوستو مجھ پر کوئی پتھر ذرا بھاری رکھو
Ye hawaayein ud na jaayein leke kaagaz ka badan
Dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakhoo

لے تو آئے شاعری بازار میں 'راحت' میاں
کیا ضروری ہے کہ لہجے کو بھی بازاری رکھو
Le toh aaye shayari bazaar mein 'Raahat' miyaan
Kya zaroori hai ke lehje ko bhi bazaarī rakhoo

Share This