Sad Shayari in Urdu and English by Famous Poets

Sad Shayari in Urdu and English : Discover the world of touching emotions with our collection of Sad Shayari in Urdu and English text. Express your deepest feelings through beautifully crafted verses that resonate across languages. Explore heart-touching poetry that captures the essence of sadness in both Urdu and English, creating a poetic connection with your emotions..

Sad Shayari of Famous Poets in Urdu and English by Famous Poets
Sad Shayari

kar raha tha Gham-e-jahan – FAIZ AHMAD FAIZ

kar raha tha gham-e-jahan ka hisab 
aaj tum yaad be-hisab aaye 

کر رہا تھا غمِ جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے

aziz itna hi rakkho – OBAIDULLAH ALEEM

aziiz itna hi rakkho ki ji sambhal jaye 
ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jaye  

عزیز اتنا ہی رکھو کہ جی سنبھل جائے
اب اس قدر بھی نہ چاہو کہ دم نکل جائے

tera milna Khushi ki baat – SAHIR LUDHIANVI

tera milna ḳhushi ki baat sahi
tujh se mil kar udaas rahta hun  

تیرا ملنا خوشی کی بات صحیح
تجھ سے مل کر اداس رہتا ہوں

main to Ghazal suna ke akela – KRISHN BIHARI NOOR

main to ghazal suna ke akela khada raha 
sab apne apne chahne valon men kho gaye

میں تو غزل سنا کے اکیلا کھڑا رہا
سب اپنے اپنے چاہنے والوں میں کھو گئے

halat pe rona aaya – SAHIR LUDHIANVI

kabhi ḳhud pe kabhi halat pe rona aaya 
baat nikli to har ik baat pe rona aaya 

کبھی خود پہ، کبھی حالات پہ رونا آیا
بات نکلی تو ہر ایک بات پہ رونا آیا

tum mujhe chhod – BASHIR BADR

tum mujhe chhod ke jaoge to mar jaunga 
yuuñ karo jaane se pahle mujhe pāgal kar do 

تم مجھے چھوڑ کے جاؤ گے تو مر جاؤں گا
یوں کرو جانے سے پہلے مجھے پاگل کر دو

ab to Khushi ka Gham hai – SHAKEEL BADAYUNI

ab to ḳhushi ka gham hai na ġham ki ḳhushi mujhe 
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe 

اَب تو خُوشی کا غَم ہے نہ غَم کی خُوشی مجھے
بے ہِس بنا چکی ہے بہت زِندگی مجھے

apni halat ka Khud ehsas – AASI ULDANI

apni halat ka khud ehsas nahin hai mujh ko 
main ne auron se suna hai ki pareshan huun main 

آپنی حالت کا خود احساس نہیں ہے مجھ کو
میں نے اوروں سے سنا ہے کہ پریشان ہوں میں

ham to kuchh der – BASHIR BADR

ham to kuchh der hañs bhī lete hain 
dil hamesha udaas rahta hai 

ہم تو کچھ دیر ہنس بھی لیتے ہیں
دل ہمیشہ اُداس رہتا ہے

kisi ke tum ho – AKHTAR SAEED KHAN

kisi ke tum ho kisi ka ḳhuda hai duniya men 
mire nasib men tum bhi nahin ḳhuda bhi nahin 

کسی کے تم ہو کسی کا خدا ہے دنیا میں
میرے نصیب میں تم بھی نہیں، خدا بھی نہیں

Share This