Top 10 Kitab Shayari in Urdu and English

Explore the enchanting world of Kitab Shayari, where Urdu and English intertwine in poetic harmony. Immerse yourself in the beauty of words that dance across pages, expressing emotions and tales of love, longing, and life. Let the essence of Kitab Shayari captivate your soul through the timeless art of literary expression.

Dhuup Meñ Niklo – NIDA FAZLI

dhuup meñ niklo ghaTāoñ meñ nahā kar dekho 
zindagī kyā hai kitāboñ ko haTā kar dekho 

ڈھوپ میں نکلو گھٹاؤں میں نہا کر دیکھو
زندگی کیا ہے کتابوں کو ہٹا کر دیکھو

Ye Ilm kā Saudā – JAAN NISAR AKHTAR

ye ilm kā saudā ye risāle ye kitābeñ 
ik shaḳhs kī yādoñ ko bhulāne ke liye haiñ 

"یہ علم کا سودا یہ رسالے یہ کتابیں
اک شخص کی یادوں کو بھولانے کے لئے ہیں

ilm meñ bhī surūr – ALLAMA IQBAL

ilm meñ bhī surūr hai lekin 
ye vo jannat hai jis meñ huur nahīñ 

علم میں بھی سرور ہے لیکن
یہ وہ جنت ہے جس میں حور نہیں

ilm kī ibtidā – FIRDAUS GAYAVI

ilm kī ibtidā hai hañgāma 
ilm kī intihā hai ḳhāmoshī 

علم کی ابتداء ہے ہنگامہ
علم کی انتہا ہے خاموشی

had se baḌhe – KHUMAR BARABANKAVI

had se baḌhe jo ilm to hai jahl dosto 
sab kuchh jo jānte haiñ vo kuchh jānte nahīñ 

حد سے بڑھے جو علم تو ہے جہل دوستو
سب کچھ جو جانتے ہیں وہ کچھ جانتے نہیں

kāġhaz meñ – BASHIR BADR

kāġhaz meñ dab ke mar ga.e kiiḌe kitāb ke 
dīvāna be-paḌhe-likhe mash.hūr ho gayā 

کاغذ میں دب کے مر گئے کیڑے کتاب کے
دیوانہ بے پڑھے لکھے مشہور ہو گیا

yahī jaanā – MEER TAQI MEER

yahī jaanā ki kuchh na jaanā haa.e 
so bhī ik umr meñ huā ma.alūm 

یہی جانا کہ کچھ نہ جانا ہے
سو بھی اک عمر میں ہوا معلوم

khaḌā huuñ – NAZEER BAAQRI

khaḌā huuñ aaj bhī roTī ke chaar harf liye 
savāl ye hai kitāboñ ne kyā diyā mujh ko 

کھڑا ہوں آج بھی روٹی کے چار حرف لئے 
سوال یہ ہے کتابوں نے کیا دیا مجھ کو 

qabroñ meñ – EJAAZ TAWAKKAL

qabroñ meñ nahīñ ham ko kitāboñ meñ utāro 
ham log mohabbat kī kahānī meñ mareñ haiñ 

قبروں میں نہیں ہم کو کتابوں میں اُتارو
ہم لوگ محبت کی کہانی میں مریں ہیں

ādamiyyat aur shai – SHAIKH IBRAHIM ZAUQ

ādamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai 
kitnā tote ko paḌhāyā par vo haivāñ hī rahā 

آدمیت اور شے ہے علم ہے کچھ اور شے
کتنا طوطے کو پڑھایا پر وہ ہیوان ہی رہا

Share This